Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii...

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii... 
Meri duniya me koi amroz-o-aainda nhii... 

Tu bhi apne jurm ki taazeer pe hairat na kar... 
Main bhi apne ghar ki barbaadii pe sharminda nhii... 

Main to uske dil ki dhadkan ban gaya hun baaraha... 
Wo hareef-e-jaa'n samajhta hai k main zinda nhii... 

Ya hawaa-e-deher me pinhaa hai toofaano ka zor... 
Ya faseel-e-jism k aasaar paainda nhii... 

Aansuo'n ki leher me behta hua motii to hun... 
Kya hua gar aapki soorat me taabinda nhii...?? 

Shukr hai raas aa gaya mujhko qanaa'at ka jahaa'n... 
Shukr hai main Qasr-e-Sultaanii ka kaarinda nhii... 

Yun mere ahbaab milte hain mujhe MOHSIN yahan... 
Jaise main is sheher-e-naa-pursaa'n ka baashinda nhii....!!

Comments

Popular posts from this blog