Posts

Showing posts from May, 2016

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne...

Image
Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne... Jis Ka Har Aib Zamany Se Chupaya Main Ne...

Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah

Image
Lahron mein doobte rahe dariya nahin mila Usse bichhad key phir koi waisa nahim mila Kuchh log thodi der to achchhe lage magar Ham jiske ho saken koi aisa nahin mila Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah Usko bhi koi chaahne wala nahin mila Do chaar din to kitne sukun se guzar gaye Sab khairiyat rahi koi apna nahin mila

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari

Image
Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi, Mujhe Bhool Jaye To Kya Krun..

Ek chota gunaah mohabbat ka

Image
Ek chota gunaah mohabbat ka  Zindgii bharr hisaab leta hai !!!!!

Jo tum ikhlaas chaho to, Farishton se nibah kar lo,

Image
Jo tum ikhlaas chaho to, Farishton se nibah kar lo, Main aadam ki nishani hon, Mujhe insaan rehne do, Tumhari keh-kashaaon mein, Meri koi jagah kab thi, Main ek ujrra jazeera hoon, Mujhe veeran rehne do, Jo hota hai wohi karna, Na badlo rasm dunia ki, Wo tum thy ya koi apna, Mujhe hairaan rehne do, Mera dil yoon shikasta hai, Koi ujrra sa mandir ho, Mujhe wehshat hai ronaq se, Mujhe sunsan rehne do, Khuda ke kaar-khaany mein, Bura kuch bhi nahi hota, Khudara hosh me aao, Koi imkaan rehne do..

Abhi woh dard baqi hai ...

Image
Abhi woh dard baqi hai ... Agar'chey waqt marham hai Magar kuch waqt lagta hai Kisi ko bhool janay mein Dobara dil basanay mein Abhi kuch waqt lagna hai Abhi woh dard baqi hai ... Main kaise naii ulfat mein ? Apni zaat ko gum kar doon K mere jism o wajdaa'n mein Abhi woh fard baqi hai .. Abhi us shaks ki mujh par nigah e sard baqi hai .. Abhi to ishq k raston ki mujh par Gard baqi hai .. Abhi kuch waqt lagna hai Abhi woh dard baqi hai ...!!!

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...

Image
Shaam k waqt jaam yaad aaya...   Kitna dilchasp kaam yaad aaya...    Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...   Mujhko tera salaam yaad aaya...    Sun k qisse KHUDA ki azmat k...   Aadmi ka muqaam yaad aaya...    Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...   Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...    Baansurii ki nava ko tezz karo...   Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...    Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...   Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Wo Shakhs Kabhi Eskaa Kabhi Uskaa Kabhi Meraa Huwa

Image
Wo Shakhs Kabhi Eskaa  Kabhi Uskaa  Kabhi Meraa Huwa  Husun barbaad Kar Diya Usne , Muhabbat Ke Tijarat Karte Karte 

Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha.

Image
Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha. Neend me sara zamana tha chale Jana tha. Phir Kisi helay bahane ki zarorat hi na thi. Tum ne gar chor k Jana tha chale Jana tha. Ye hai duniya yahan har morr pr dil totta hai. Dil k tokro ko Urbana tha chale Jana tha. Aane wale to yahan lakhon karorro aaye. Sab ka bas ek fasana tha chale Jana tha. Apne bad.khaho se larrte nahi A jane gazal. In se bas picha chorana tha chale Jana tha.

Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...??

Image
Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...??  Bhula chuke hain use phir se yaad kya karna...??   Wo be-wafa hi sahi us pe tohmate'n kaisi...??  Zara si baat pe itna fasaad kya karna...??    Mukhalifo'n se to mumkin hai dosti apni...   Munafiqo'n se mgr ittihaad kya karna...??    Nigaah me jo utarta hai dil se Q utre...??  Dil-o-nigaah me paida tazaad kya karna...??   Main isliye use ab tkk na chhoo saka MOHSIN...   Wo aaina hai use sang-zaad kya karna...??

Zara Yaad Kar Mere Hum Nafaz Mera dil jo tum pe nisar tha

Image
Zara Yaad Kar Mere Humnafas Mera dil jo tum pe nisar tha. Wo dara dara sa jo piyar tha Tere shokh qadmo ki dhool thi Tera dil bhi beqarar tha Zara yaad kar Mere Humnafas. Tere jaisa mera bhi Haal tha na Sakoon tha na Qarar tha Yahi umer thi mere hum nasheen keh kisi se mujh ko bhi Pyar tha. Mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak Isi gham ka tu bhi aseer hai isi dukh ka mein bhi Shikar tha. Faqat aik dhun thi k Raat Din isi khawab zaad mein gum rahain Woh Sarwar aisa Sarwar tha woh Khumar aisa Khumar tha. Kabhi lamha bhar ki bhi Guftagoo meri is ke sath na ho saki Mujhe fursatein nahi mil sakein woh hawa k rut pay sawar tha. Hum ajeeb tarz ke log the k hamare aur bhi rog the Mein khazan mein is ka tha muntazar ise Intezar Bahar tha. Ese parh k tum na samajh sake k meri kitab k roop mein Koi qarz tha kayi saal ka kayi rutjagon ka udhar tha.

Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah,

Image
Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah, Jaisy k Laot Aiengay Jo Din Guzar Gaye.

Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain.

Image
Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain. Tujhe gale se lagana to aik bahana tha..!

Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha

Image
Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha Dillon k zakhm bhi mohsin kamal hotay hain

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise...

Image
Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise...  Zeestt na-karda gunaaho'n ki saza ho jaise...  Le gyii yun mujhe khwaabo'n k jazeero'n ki taraf...  Nikhat-e-gul tere aanchal ki hawa ho jaise...  Zulmat-e-shaam-e-alam mujhse gurezaa'n hai abhii...  Ek sitaara meri palko'n me chhipa ho jaise...  Teri zulfe'n bhi pareshaa'n hain mere dil ki tarah...  Tu bhi kuchh der mere sath raha ho jaise...  Main tere saaye se bach-bach k chala hun aksar...  Meri manzil,, teri manzil se juda ho jaise...  Phool maango to ataa krte hain zakhmo'n k kanwal...  Ab yehii shewa-e-arbaab-e-wafa ho jaise...  Chaandnii apne taqaddus pe hai naaza'n itnii...  Maryam-e-shab ki siyaah-posh ridaa ho jaise...  Aaj phir unse mulaqaat hui hai MOHSIN...  Aaj phir dil pe koi zakhm laga ho jaise....!!

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii...

Image
Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii...  Meri duniya me koi amroz-o-aainda nhii...  Tu bhi apne jurm ki taazeer pe hairat na kar...  Main bhi apne ghar ki barbaadii pe sharminda nhii...  Main to uske dil ki dhadkan ban gaya hun baaraha...  Wo hareef-e-jaa'n samajhta hai k main zinda nhii...  Ya hawaa-e-deher me pinhaa hai toofaano ka zor...  Ya faseel-e-jism k aasaar paainda nhii...  Aansuo'n ki leher me behta hua motii to hun...  Kya hua gar aapki soorat me taabinda nhii...??  Shukr hai raas aa gaya mujhko qanaa'at ka jahaa'n...  Shukr hai main Qasr-e-Sultaanii ka kaarinda nhii...  Yun mere ahbaab milte hain mujhe MOHSIN yahan...  Jaise main is sheher-e-naa-pursaa'n ka baashinda nhii....!!

Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s.

Image
Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s. Mohsin dua hayaat ki krna hi chorr di

Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye..

Image
Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye...   Hm hmesha nayii poshaak pehen kr aaye...   Ek ajab rang se nikla wo sar-e-raah k log...   Jism pr deeda-e-bebaak pehen kr aaye...   Hmne sadiyo'n ki hathelii pe rakhii hain aankhe'n...   Koi lamha tera idraak pehen kr aaye...   Saaneha kon sa guzra hai saba se poochho...   Chandd jhonke khas-o-khashaak pehen kr aaye...   Zakhm ko zidd thi maseehayii se ab k warna...   Harff-e-marham kayii chaalaak pehen kr aaye...   Aaj milna tha use zakhm chhupa kr MOHSIN...   Hm magar jaama-e-sad-chaak pehen kr aaye...!!

Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum !

Image
Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum ! Sehar Ki Roshniyan Chasham-e-Tar Main Rakhty Hain..........!!

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna

Image
Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna  Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai  Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera  Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai  Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin  Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai��.!!

Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN...

Image
Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN...  Isse zyada use paband-e-wafa kya karna...?? 

Shaam k waqt jaam yaad aaya...

Image
Shaam k waqt jaam yaad aaya...   Kitna dilchasp kaam yaad aaya...    Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...   Mujhko tera salaam yaad aaya...    Sun k qisse KHUDA ki azmat k...   Aadmi ka muqaam yaad aaya...    Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...   Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...    Baansurii ki nava ko tezz karo...   Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...    Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...   Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Omg Death defying stunt . i Salute u doctor ayesha.

Image
Omg Death defying stunt I watch more than thousand reality shows but I nvr ever see such a big daring attempt in any reality show... Hatts off to dr ayesha proud pakistani over the edge All people should watch this amazing dare Hats off to this Pakistani girl  Thumbs up and share i Salute u doctor ayesha. best perfarmaec .  world recored. Over The Edge

Kaash kay kabhi hum ko woh bhi mil jaye,

Image
Kaash kay kabhi hum ko woh bhi mil jaye, youn he achanak say kahin chaltay chaltay....

Ishq hai jaan le k chorray ga..

Image
Apna tawaan le k chorray ga, Ishq hai jaan le k chorray ga..

Dil ne aaj phir tere deedar ki khawhish rakhi hai.

Image
Dil ne aaj phir tere deedar ki khawhish rakhi hai. Agar fursat mile tu khawbon main ajana.

Toote Huwe Dil Ki Qasam, Us ko Dil Se Rawana Kar Ke,

Image
Toote Huwe Dil Ki Qasam, Us ko Dil Se Rawana Kar Ke, Ro Pari Aankh Mein Tinke Ka Bahana Kar K.

Mane Mohabat ke hai tujse itni.

Image
Mane Mohabat ke hai tujse itni. Ke Heer ne bi na ki hogi apne Ranjy se jitni.

Usko DaiKH letA hon to BHOoK MiT JaTi hai.

Image
Usko DaiKH letA hon to BHOoK MiT JaTi hai. MeRi AanKHoN Ka RizQ hai Mery Yaar ka CHeHRa.

Na JaneY AB Wo KiYa KaHeY Gii GHar WaalOn Se,

Image
Na JaneY AB Wo KiYa KaHeY Gii GHar WaalOn Se, Wo Aik PaaYaL JO MeraY Paas BHooL GaYi Hai.

Ek bose ke talabgaar hain ham.

Image
Ek bose ke talabgaar hain ham. Aur maangein to gunahgaar hain ham.

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi.

Image
Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi. Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai.

Tum Aty Ho Chale Jate Ho.

Image
Tum Aty Ho Chale Jate Ho. Main Jurti Hun Toot Jati Hun.

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota.

Image
Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota. Kaash Main Teri Mohabbat Ka Na Aadi Hota.

Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain.

Image
Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain. Bohat Bikhre Hue Hote Hain Aise Log Andar Se.

Mohabbat Phool Jesi Hai.

Image
Mohabbat Phool Jesi Hai. Yaqeenan Bik Bhi Sakti Hai.

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto.

Image
Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto. Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath.

Dil ne maani hi nahi meri warna

Image
Dil ne maani hi nahi meri warna  Main tujhe bhoolne k haq men hun

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Image
Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge Adaa K Qissay Hue Purany Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho Karenge Tum Se Hisaab Jana Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana Khoon Apna Jala Diya Hai Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge.

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot

Image
Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot Wos'at-e-daastaan-e-shauq , ghalat Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot Na rasae ko rastay mushkil ! Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot Door say piyar ko sarab, chanab Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot Dastras ka tlism hay warna Sa'at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot Perahan khon-e-dill mein tar kar lo Warna daman-e-taar taar bhi jhoot Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin

Image
Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin Mudat Se Youhi Khak Basar He Tera Mohsin Shayed Kisi Rasty Ki Hawa Teri Khabar De Is Wasty Masroof E Safar He Tera Mohsin

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai

Image
Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein Khari Khari Jo Kahein  Aap Ko Giraan Guzray Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Image
Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa Ab toH chehrun pay bhi katbuo'n ka ghuman hota hai AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FARAZ Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney

Image
Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai Jis ne meri jazbon ki sadaqat ko na samjha ub meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai Iss dil ke kharabey se guzar kiska hua hai Aankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh se Iss sheher ki dewaar pe likha bhi wohi hai Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney Badal ki tarhan aankh se barsa bhi wohi ha

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain

Image
kiyon churaatay ho dekh kar aankhain kar chuki meray dil mein ghar aankhain chasham-e-nargis ko dekh lain phir hum tum dikhaa do jo ik nazar aankhain hai dawaa unki aatish-e-rukhsaar senktay hain iss aag par aankhain koi aasaan hai tera deedaar pahlay banwaaye tow bashar aankhain jalwaah-e-yaar ki na taab huwee Toot aayi hain kis qadar aankhain dil ko to ghoont-ghoont kar rakhhaa maanti hi nahi magar aankhain na gayi taank jhaank ki aadat liye phirtii hain dar ba dar aankhain kyaa yeh jaadoo_bhara na thha kaajal? surKh kar li jo paunch kar aankhain naavak-o-neeshtar teri palkain sihr-pardaaz-o-fitnaagar aankhain yeh niraala hai sharm ka andaaz baat kartay ho dhaank kar aankhain Khaak par kiyun ho naqsh-e-paa tera hum bichhayen zameen par aankhain nohaagar kaun hai muqaddar par ronay waalon mein hain magar aankhain yehi rona hai gar shab-e-Ghum ka phooT jaayengi taa seher aankhain Haal-e-dil dekhna nahi aata dil ki banwaayen chaaragar aankhain ''DaaGh'' aankhain nikaalta

main bhool jati hoon her subah tera naam mager

Image
kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko safer abhi to zara sa kia hai tere baghair abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko main bhool jati hoon her subah tera naam mager main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho.

Image
ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho. ye zindagi to nek iraadon main hi kat gai.

Teri aankhon ko parhte hain

Image
Teri aankhon ko parhte hain Tujhe dekha nahi karte...

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai.

Image
Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai. Maa Dua Karti Hui Khawab Me Aa Jati Hai.

Us ne mujh se haath churaya.

Image
Us ne mujh se haath churaya. Jaan churaai mene bhi.